Saturday, 9 September 2017

Justajoo jis ki thi us ko to na paya hum ne

Justajoo jis ki thi us ko to na paya hum ne,
Iss bahane se magar dekh li duniya hum ne, Sab ka ehwal wohi hai jo hamara hai aaj,
Ye alag baat k shikwa kiya tanha hum ne,
Khud pasheman huye na usey sharminda kiya, Ishq ki waza'a ko kiya khoob nibhaya hum ne, Kon sa qehr ye ankhon pe hua hai nazil,
Ek muddat se koi khuwab na dekha hum ne,
Umar bhar sach hi kaha sach k siwaa kuch na kaha,
Ajar kya iss ka mile ga yeh na socha hum ne

No comments:

Post a Comment