Saffed poshi tera aitbar jata hy
Agar chiragh hawaon se har jata hai
Kadam badhane me khatra hy moat ka lekin Me Laut'ta hun to sara waqar jata hy
Karen naseeb se shikwa ya mausamon ka gila Badal ke rasta Abr-e bahaar jata hy
Me apna lehza to tabdeel kr nhi sakta Balaa se jaye agar karobar jata hy.
No comments:
Post a Comment